
ye har shab soch kar sota hun aane wali subhon mein gulon se pattiyon se os ki bunden churani hain shah aakash ki nazren-numa kirnon se pahle jag jaana hai saba-e-anbarin ke lams ko mahsus karna hai libas-e-sabz mein malbus alhad pattiyon ki baaten sunni hain hasin doshiza ki muskan si kaliyon se do ek baat kar lunga magar kuchh kar nahin pata ki rahat roke rakhti hai koi afsana padhna ho kisi ki shairi pe baat karni ho kisi takhliq se pahle khayal-o-fikr ko aazad rakhna ho kisi sariq kisi shatir kisi kam-fahm se sachchai kahni ho badi masum shaklon mein chhupe ayyar ko makkar ko shisha dikhana ho faqih-e-waqt amir-e-shahr ka qazzaq se malun se rishta batana ho magar ye kar nahin sakta maslahat khamosh rakhti hai harim-e-mai-kade mein khanqahon math madrason mein barahman shaikh se pir-e-mughan se saqiyon se aur waiz se ye aksar sochta hun ja ke kah dun main riya-o-kibr tahi-ikhlas aur bad-atwari se tere jahan mein ishq ukhuwwat ilm aur akhlaq marte hain magar main kah nahin sakta aqidat baz rakhti hai tassub khud-pasandi bughz se kibr-o-hasad se bisat-e-zehn-o-dil ko chahta hun pak kar lun zar-o-imlak ki khwahish se apne aap ko aazad kar lun ki jab jab sai karta hun hawas inkar karti hai magar iqan hai mera hamare ahd ke bachche mere kizb-o-riya ko makr ko aur be-imani ko nafaq-o-bad-qimashi ko mere zahir ko baatin ko huwaida kar ke chhodenge alal-ailan kah denge ki mere bap aise the mere ustaz aise the so un ki baat se aamal se sharminda hun main bhi ye kahne se unhen izzat na rokegi na un ko khauf rokega unhen kuchh bhi na rokega chalan badla hua hoga hamari sari izzat sari zillat dusron ke haq ki pamali kitab-e-haq ke pannon par bahut wazeh likhi hongi