zulm aur jahl par israr karoge kab takBy Ali Sardar Jafri01 Jan 2017Qitazulm aur jahl par israr karoge kab tak aql aur fahm se paikar karoge kab tak kab talak azmat-e-aflak ke gun gaoge azmat-e-khak se inkar karoge kab tak Continue Reading... Share on:
zulf-e-shab-rang ki ghanghor ghaTa se chhan karBy Ali Sardar Jafri01 Jan 2017Qitazulf-e-shab-rang ki ghanghor ghata se chhan kar pad rahi hai kisi chehre pe tabassum ki phuwar jaise barsat ki raaton mein chamakte jugnu ya shab-e-mah ke aiwan mein bajta hai sitar Continue Reading... Share on:
zindagani ne diya hai ye mujhe hukm ki tuBy Ali Sardar Jafri01 Jan 2017Qitazindagani ne diya hai ye mujhe hukm ki tu shab-e-tarik ke daman mein sitare bhar de phunk de jama hai jitna khas-o-khashak-e-nifaq qalb-e-insan mein mohabbat ke sharare bhar de Continue Reading... Share on:
zehn o jazbaat o ishaaraat o kinayat baniBy Ali Sardar Jafri01 Jan 2017Qitazehn o jazbaat o ishaaraat o kinayat bani maut o alfaz o hikayat o riwayat bani khak jab surat-e-insan mein numudar hui zamzame wed ke quran ki aayat bani Continue Reading... Share on:
ye to hain chand hi jalwe jo chhalak aae hainBy Ali Sardar Jafri01 Jan 2017Qitaye to hain chand hi jalwe jo chhalak aae hain rang hain aur mere dil ke gulistan mein abhi mere aaghosh-e-takhaiyul mein hain lakhon subhen aaftab aur bhi hain mere gareban mein abhi Continue Reading... Share on:
ye hukumat ke pujari hain ye daulat ke ghulamBy Ali Sardar Jafri01 Jan 2017Qitaye hukumat ke pujari hain ye daulat ke ghulam jo jahannam ki musibat se daraate hain mujhe khud to duniya mein bana lete hain jannat apni khwab khoi hui jannat ke dikhate hain mujhe Continue Reading... Share on: