ab lab pe wo hangama-e-fariyaad nahin hai

By

ab lab pe wo hangama-e-fariyaad nahin hai
allah re teri yaad ki kuchh yaad nahin hai
aati hai saba su-e-lahad un ki gali se
shayad meri mitti abhi barbaad nahin hai
allah bachae asar-e-zabt se un ko
bedad to hai shikwa-e-bedad nahin hai
apni hi badaulat hai nasheman ki kharabi
minnat-kash-e-be-dardi-e-sayyaad nahin hai
aamada-e-fariyaad-rasi hai wo sitamgar
fariyaad ki ab taqat-e-faryaad nahin hai
duniya mein dayar-e-dil-e-'fani' ke siwa hae
koi bhi wo basti hai jo aabaad nahin hai

aap se sharh-e-arzu to karen

By

aap se sharh-e-arzu to karen
aap taklif-e-guftugu to karen
wo yahin hain jo wo kahin bhi nahin
aaiye dil mein justuju to karen
ahl-e-duniya mujhe samajh lenge
dil kisi din zara lahu to karen
rang o bu kya hai ye to samjha do
sair-e-duniya-e-rang-o-bu to karen
tum se milne ki aarzu hi sahi
tum se milne ki aarzu to karen
wo udhar rukh idhar hai mayyat ka
log 'fani' ko qibla-ru to karen