chal man liya sahab-e-kirdar nahin hun

By

chal man liya sahab-e-kirdar nahin hun
par teri tarah hazir-e-darbar nahin hun
dushman hai musafir to use saf bata do
diwar hun main saya-e-diwar nahin hun
atraf mein har chiz ka idrak hai mujh ko
khwabon mein ghira dida-e-bedar nahin hun
khamosh hi rahna hai mere waste behtar
main aap ka pairaya-e-izhaar nahin hun
ab to hadaf-e-sang-e-malamat na banao
ab to main sar-e-kucha-e-dildar nahin hun
dil todne wale ko khabar ho ki abhi main
sar-ta-ba-qadam ek dil-e-bimar nahin hun