aab o hawa hai barsar-e-paikar kaun hai

aab o hawa hai barsar-e-paikar kaun hai
mere siwa ye mujh mein giraftar kaun hai

ek raushni si rah dikhati hai har taraf
dosh-e-hawa pe sahib-e-raftar kaun hai

ek ek kar ke khud se bichhadne lage hain hum
dekho to ja ke qafila-salar kaun hai

bosidgi ke khauf se sab uth ke chal diye
phir bhi ye zer-e-saya-e-diwar kaun hai

qadmon mein sae ki tarah raunde gae hain hum
hum se ziyaada tera talabgar kaun hai

phaila raha hai daman-e-shab ki hikayaten
suraj nahin to ye pas-e-kohsar kaun hai

kya shai hai jis ke waste tute pade hain log
ye bhid kyun hai raunaq-e-bazar kaun hai

ai dil ab apni lau ko bacha le ki shahr mein
tu jal-bujha to tera aza-dar kaun hai

ab tak isi khayal se soe nahin 'salim'
hum so gae to phir yahan bedar kaun hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close