aadhi aadhi raat tak saDkon ke chakkar kaTiye

aadhi aadhi raat tak sadkon ke chakkar katiye
shairi bhi ek saza hai zindagi bhar katiye
shab gae bimar logon ko jagana zulm hai
aap hi mazlum baniye raat bahar katiye
jal ke andar bhi main tadpunga chikhunga zarur
mujh se khaif hain to meri soch ke par katiye
koi to ho jis se us zalim ki baaten kijiye
chaudhwin ka chand ho to raat chhat par katiye
rone wali baat bhi ho to latifa jaaniye
umr ke din katne hi hain to hans kar katiye
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close