aag jo bahar hai pahunchegi andar bhi

aag jo bahar hai pahunchegi andar bhi
sae jal jaenge aur phir paikar bhi

teri aankhon mein aansu bhi dekhe hain
tere hathon mein dekha hai khanjar bhi

parakh hai to mujh ko parakh hushyari se
main ek gauhar bhi hun main ek patthar bhi

khwabon mein bhi rahta hun bechain bahut
chain nahin milta hai mujh ko so kar bhi

kab tak jang ladega tere suraj se
sukhega ek din aakhir ye sagar bhi

shafaq-e-sham ka din bhar tha arman mujhe
khun-aluda nikla hai ye manzar bhi

phul ki pati bhi hai bar mujhe 'manzur'
dekhoge to lagta hun ek patthar bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close