aaghaz-e-gul hai shauq magar tez abhi se hai

aaghaz-e-gul hai shauq magar tez abhi se hai
yani hawa-e-bagh junun-khez abhi se hai

josh-e-talab hi maujib-e-darmandagi na ho
manzil hai dur aur qadam tez abhi se hai

kya irtibaat-e-husn-o-mohabbat ki ho umid
wo jaan-e-shauq hum se kam-amez abhi se hai

tartib-e-karwan mein bahut der hai magar
aawaza-e-jaras hai ki mahmez abhi se hai

pahli hi zarb-e-tesha se koh-e-giran hai chur
hasrat-maal satwat-e-parwez abhi se hai

kya jaane mai-kashon ka ho kya hashr subh tak
saqi ki har nigah dil-awez abhi se hai

ye ibtida-e-shauq ye pur-shauq dil mira!
ek jam-e-atishin hai ki labrez abhi se hai

'tabish' bhari bahaar mein koi bichhad gaya
ab ke chaman mein bu-e-khizan tez abhi se hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close