aaghosh-e-tasawwur mein jab maine use maska

aaghosh-e-tasawwur mein jab main ne use maska
lab-ha-e-mubarak se ek shor tha bas bas ka

sau bar harir us ka maska nigah-e-gul se
shabnam se kab ai bulbul pairahan-e-gul maska

us tan ko nahin taqat shabnam ke talabbus se
ai dast-e-hawas is par tu qasd na kar mas ka

malti hai pari aankhen aur hur jabin sa hai
hai naqsh-e-jahan yaro us pa-e-muqaddas ka

tar rakhiyo sada ya-rab tu is mizha-e-tar ko
hum itr lagate hain garmi mein isi khas ka

is girya-e-khunin ki daulat se 'nazir' apne
ab kalba-e-ahzan mein kul farsh hai atlas ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close