aaghosh mein jo jalwagar ek naznin hua angushtari bana mera tan wo nagin hua raunaq-faza lahad pe jo wo mah-jabin hua gumbad hamari qabr ka charkh-e-barin hua kanda jahan mein koi na aisa nagin hua jaisa ki tera nam mere dil-nashin hua raushan hua ye mujh pe ki fanus mein hai shama hath us ka jalwagar jo tah-e-astin hua rakhta hai khak par wo qadam jab ki naz se kahta hai aasman na kyun main zamin hua raushan shabab mein jo hui sham-e-ru-e-yar dud-e-charagh husn-e-khat-e-ambarin hua ya rab gira adu pe 'amanat' ke tu wo barq do tukde jis se shahpar-e-ruhul-amin hua