aaina bhi aaina-gar se ulajhta rah gaya

aaina bhi aaina-gar se ulajhta rah gaya
main hi is bahrup ghar mein ek jhuta rah gaya
aankh khulte hi umad aai hai kitni tirgi
dekhte hi dekhte suraj sitara rah gaya
sar-phiri aandhi ne aakhir kar diya qissa tamam
main charaghon ki lawon par hath rakhta rah gaya
naqsh dhundlae to chehre ki shanasai gai
aankh putli mein larazta ek hayula rah gaya
mauj-e-dariya se mile shayad numu ka zaiqa
jhilmilata aab-e-dariya reg-e-dariya rah gaya
ab 'munawar' kaun laega khabar us par ki
kis ko lahron se nimatne ka saliqa rah gaya

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close