aaj har samt bhagte hain log

aaj har samt bhagte hain log
goya chauraha ho gae hain log

har taraf se tude-mude hain log
jaane kaise tike hue hain log

apni pahchan bhid mein kho kar
khud ko kamron mein dhundte hain log

band rah rah ke apne kamron mein
tabalon par khule khule hain log

le ke barud ka badan yaro
aag lene nikal pade hain log

rasta kis ke panw se uljhe
khuntiyon par tange hue hain log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close