aaj kya dekha KHalaon ke sunahre KHwab mein

aaj kya dekha khalaon ke sunahre khwab mein
regzaron ke siwa kuchh bhi nahin mahtab mein

jab se pahna hai nae mausam ne zakhmon ka libas
phul se khilne lage hain dida-e-khun-nab mein

nisf shab ko nind mein chalta hua paikar koi
naqsh-e-pa kyun chhod jata hai dayar-e-khwab mein

wo to khud apne tajassus mein bhatak kar rah gae
tazkira tha jin ki azmat ka bahut ahbab mein

chhedta hai saz-e-shab ko yun samundar ka sukut
dub jati hai faza sangit ke sailab mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close