aaj ruswa hain to hum kucha-o-bazar bahut

aaj ruswa hain to hum kucha-o-bazar bahut
ya kabhi git bhi gate the sar-e-dar bahut

apne haalat ko suljhao to kuchh baat bane
mil bhi jaenge kabhi gesu-e-khamdar bahut

dil ke zakhmon ko bhi mumkin ho to dekho warna
chand se chehre bahut phul se rukhsar bahut

aaj mahaul mein fitne hain sar-e-dair-o-haram
aaj behtar hai parastish ko dar-e-yar bahut

lut gae ek hi angdai mein aisa bhi hua
umr-bhar phirte rahe ban ke jo hoshiyar bahut

ajnabi ban ke rahe shahr mein hum haalanki
saya-e-zulf bahut saya-e-diwar bahut

'qais' na-qadri-e-ahbab ka shikwa hai fuzul
koi yusuf hi nahin warna kharidar bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close