aajizi aaj hai mumkin hai na ho kal mujh mein

aajizi aaj hai mumkin hai na ho kal mujh mein
is tarah aib nikalo na musalsal mujh mein

zindagi hai meri thahra hua pani jaise
ek kankar se bhi ho jati hai halchal mujh mein

main ba-zahir to hun ek zarra zamin par lekin
apne hone ka hai ehsas mukammal mujh mein

aaj bhi hai teri aankhon mein tapish sahra ki
karwaten leta hai ab bhi koi baadal mujh mein

jo andheron mein mere sath chala bachpan se
ab wo tara bhi kahin ho gaya ojhal mujh mein

khwahishen aa ke lipat jati hain sanpon ki tarah
jab mahakta hai teri yaad ka sandal mujh mein

ab wo aaya to bhatak jaega rasta 'nusrat'
ab ghana ho gaya tanhai ka jangal mujh mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close