aalam-e-imkan mein duniya ki hawa thi main na tha

aalam-e-imkan mein duniya ki hawa thi main na tha
jalwa-ara sirf zat-e-kibriya thi main na tha

kar diya bedar jis ne sakinan-e-arsh ko
wo kisi dard-ashna dil ki sada thi main na tha

muntashir jis ne kiya tha un ki zulf-e-naz ko
sach agar puchho to wo baad-e-saba thi main na tha

khul gaya jo raaz-e-ulfat aaj ahl-e-bazm par
ye tumhaari mast nazron ki khata thi main na tha

tang aa kar gardish-e-ayyam se bahr-e-sujud
wo to meri zindagi waqf-e-dua thi main na tha

had se jab 'qaisar' badhi un ki jafa-e-na-rawa
jo ba-ru-e-kar aai wo wafa thi main na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close