aanchal jo dhalakta hai un ka kabhi shanon se pael ki sada aa kar takraati hai kanon se apni hi halakat ka bais hue jate hain jo tir nikalte hain aaj apni kamanon se hum ne rah-e-ulfat mein aa kar yahi sikha hai manzil ka pata lena qadmon ke nishanon se ek bar bhi jo sunna hum ko na gawara tha sau bar suna hum ne duniya ki zabanon se jis ne kabhi duniya ki parwa hi nahin ki thi wo 'naz' se milta hai ab lakh bahanon se