
aankh se bichhde kajal ko tahrir banane wale mushkil mein pad jaenge taswir banane wale ye diwana-pan to rahega dasht ke sath safar mein sae mein so jaenge zanjir banane wale us ne to dekhe an-dekhe khwab sabhi lautae aur the shayad tuti hui tabir banane wale sone ki diwar se aage mere kaam na aae sachche jazbe mitti ko iksir banane wale juzw-e-sher nahin hain 'qasir' juzw-e-jaan kar dale hum ko jitne dard mile the 'mir' banane wale
This is a great akelapan urdu shayari. True lovers of kajal name shayari will love this. Please share if you liked this!!!