aankh thi suji hui aur raat bhar soya na tha is tarah wo tut kar shayad kabhi roya na tha un ke shauq-e-did mein tha is qadar khoya hua main bhari mahfil mein tha aisa ki main goya na tha imtihan zauq-e-safar ka tha to suraj sar pe tha dhup thi diwar thi lekin kahin saya na tha wo bada tha phir bhi wo is qadar be-faiz tha us ghanere ped mein jaise koi saya na tha shahrah par khun mein ek lash thi luthdi hui aae din ka hadsa tha is liye charcha na tha har nigah pyasi thi lekin waqt ki tahwil mein ek sarab-asa zamin thi dur tak dariya na tha
This is a great pyar bhari shayari for husband. Please share if you liked this!!!