aankhon ke aainon mein tawanai aaegi

aankhon ke aainon mein tawanai aaegi
dekhega sabz khet to binai aaegi

paega khushbuon se zaminon ke bhed bhi
ek roz tere kaam shanasai aaegi

pedon ki chhanw chhod kisi aab-e-ju pe baith
tujh mein nahin to aks mein ranai aaegi

duniya ki sair kar ke nikhar jaega khayal
taza hawa lagegi to danai aaegi

har naqsh aab-o-khak ka dil mein utar le
fankar hai to taqat-e-goyai aaegi

shair ki tarah dol raha hai khalaon mein
logon mein baith anjuman-arai aaegi

andhon ke is nagar mein diye ki misal ban
sahra mein gul khulega to yaktai aaegi

shaffaf paniyon ki tarah zindagi guzar
suraj ki tarah tujh mein tawanai aaegi

ghar mein diya jala ki lage bolta hua
diwar-o-dar pe zinat-o-zebai aaegi

saya bhi tera tujh ko kahin chhod jaega
aai bhi tere kaam to tanhai aaegi

garmi bahut hai aaj khula rakh makan ko
us ki gali se raat ko purwai aaegi

kafi hai jo ghazal ke liye kah liya 'khalil'
aage qadam rakhega to gahrai aaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close