aankhon mein rang pyar ke bharne lagi hun main aaina samne hai sanwarne lagi hun main aankhon mein us ki pa ke ishaare wafaon ke gahre samundaron mein utarne lagi hun main manzil na qafila na musafir na rahbar ye kaise raston se guzarne lagi hun main ahbab ke fareb-e-musalsal ne ye kiya parchhaiyon se apni hi darne lagi hun main aflak jab ana ke pighalte hue mile par apni aarzu ke katarne lagi hun main 'mina' tasawwuraat mein parchhaiyan si hain jaane ye zindagi hai ki marne lagi hun main