aankhon mein zindagi ke tamashe uchhaal kar

aankhon mein zindagi ke tamashe uchhaal kar
ai ghurbat-e-nigah na itne sawal kar

rahne de aasman ko ek parda-e-khayal
lekin zamin ko saya-e-jannat bahaal kar

koi talab nahin hai teri bargah se
hum be-khayal aae hain itna khayal kar

aaram-e-jaan hain hum ko yahi sarsarahaten
pachhtane wale hum nahin sanpon ko pal kar

aa rakh de hath sina-e-atish-mizaj par
kab tak rakhenge teri amanat sambhaal kar

wo be-zaban gharib na kha jae koi tir
be-chain ho gaya hun kabutar uchhaal kar

'ejaz' ab ke surkh gulabon se kaam le
teshe ki aas chhod de patthar ko lal kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close