aansu hai qimti jo hamari palak mein hai

aansu hai qimti jo hamari palak mein hai
wo baat phir kahan jo faqat ek jhalak mein hai

hum bhi usi tarah se zamane ke bich hain
jis tarah se wo ek sitara falak mein hai

gamlon mein phul khub sajae hain aap ne
lekin wo baat kab jo chaman ki mahak mein hai

hum kab ye kah rahe hain nahin artist aap
wo baat to nahin hai jo upar dhanak mein hai

hai kam-libasiyon ki badi dhum aaj-kal
lekin ye ghaur kijiye chudi khanak mein hai

haalat itne bigde hain duniya ke har taraf
is waste 'wasiya' ka dil bhi kasak mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close