aansuon ke tufan mein bijliyan dabi rakhna sard sard aahon mein garmiyan dabi rakhna kaifiyat gham-e-dil ki ho ayan na chehre se parda-e-tabassum mein talkhiyan dabi rakhna kaun sunne wala hai be-hison ki duniya mein apne gham ki sine mein dastan dabi rakhna kis qadar anokha hai shewa ahl-e-duniya ka mithi mithi baaton mein talkhiyan dabi rakhna khub hai tumhaara bhi ye kalam-e-fan 'akhtar' sada sada sheron mein shokhiyan dabi rakhna