aap ke dil ka mere dil ka nafaz kya kare maqtul-o-qatil ka nafaz phir gaya mujh ko zaban de kar koi khul gaya yun upri dil ka nafaz jada-e-ishq-o-wafa mein chahiye rahrawon par shauq-e-manzil ka nafaz mar gae lakhon gala khud kat kar allah allah tegh-e-qatil ka nafaz hum ne paya hum ne dekha ja-ba-ja ishq-e-sadiq husn-e-kaamil ka nafaz phir gae nawak bhi un ke dekh kar mere dil mein hasrat-e-dil ka nafaz pahle dekh aaina ai aaina-ru jaanch phir madd-e-muqabil ka nafaz panw rakhna mujh ko mushkil ho gaya tha ye hukm-e-mir-e-mahfil ka nafaz jazb-e-kaamil ishq mein hai khas chiz ho na kyunkar jazb-e-kaamil ka nafaz ashk aankhon se ruken mumkin nahin dil hi tak mahdud hai dil ka nafaz 'nuh' gharq-e-bahr-e-ulfat ho gae kaam aaya kuchh na sahil ka nafaz