aap kyun baiThe hain ghusse mein meri jaan bhare

aap kyun baithe hain ghusse mein meri jaan bhare
ye to farmaiye kya zulf ne kuchh kan bhare

jaan se jae agar aap ko chahe koi
dam nikal jae jo dam aap ka insan bhare

liye phirte hain hum apne jigar-o-dil donon
ek mein dard bhare ek mein arman bhare

daman-e-dasht ne aansu bhi na puchhe afsos
main ne ro ro ke lahu saikdon maidan bhare

tegh-e-qatil ko gale se jo lagaya 'muztar'
khinch ke boli ki bade aae tum arman bhare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close