aapsi baaton ko akhbar nahin hone diya hum ne ye kamra hawa-dar nahin hone diya bad-gumani ko kiya chae pila kar rukhsat nashte ka bhi talabgar nahin hone diya dil ke zakhmon ki khabar hone na di ashkon ko gham ka aankhon se sarokar nahin hone diya sakht lafzon mein bhi deti hai maza baat us ki us ne lahje ko dil-azar nahin hone diya rakh diye honton pe ungli ki tarah hont us ne ek shikwa bhi numudar nahin hone diya us ne nadan ho, kah kar hamein uksaya tha umr bhar us ko samajhdar nahin hone diya chahaten pain hain 'mannan' wafaon ke tufail jazba-e-ishq ko ayyar nahin hone diya