aasan nahin hai tanha dar us ka baz karna

aasan nahin hai tanha dar us ka baz karna
lazim hai pasban se ab hum ko saz karna

gar hum mushir hote allah ke to kahte
yani visal ki shab ya rab daraaz karna

us ka salam mujh se ab kya hai gardish-e-rau
tifli mein main sikhaya jis ko namaz karna

az-bas-ki khun dil ka khata hai josh har dam
mushkil hua hai hum ko ikhfa-e-raaz karna

ba-yak-niyaz us se kyunkar koi bar aawe
aata ho sau tarah se jis ko ki naz karna

karte hain chot aakhir ye aahuan-e-badmast
aankhon se us ki ai dil tuk ehtiraaz karna

ai aah us ke dil mein tasir ho to jaanun
hai warna kaam kitna patthar gudaz karna

howegi subh raushan ek dam mein wasl ki shab
band-e-qaba ko apne zalim na baz karna

ai 'mushafi' hain do chiz ab yaad-gar-e-dauran
us se tu naz karna mujh se niyaz karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close