aashna jo maza ka hota hai apne haq mein wo kante bota hai shaikh-ji ek roz mujh ko 'asar' lage kahne abas tu rota hai in buton ke liye khuda na kare din-o-dil yun koi bhi khota hai na tujhe din ko chain hai ek aan ek dam raat ko na sota hai main kaha khub sun ke ai nadan ja mashikhat ko kyun dubota hai tu hai mullan teri bala jaane aashiqi mein jo kuchh ki hota hai