aasuda-e-mata-e-karam bolte nahin

aasuda-e-mata-e-karam bolte nahin
yani amin-e-daulat-e-gham bolte nahin
waraftagan-e-ijz ka aalam hai didani
sar hai dar-e-niyaz pe kham bolte nahin
kyun bargah-e-naz mein tari hai khamushi
kya sakinan-e-bagh-e-iram bolte nahin
shikwa-taraaz jabr-e-mohabbat hain bul-hawas
ahl-e-wafa khuda ki qasam bolte nahin
kis din tha imtihan-e-wafa se mujhe gurez
kab dagmagae mere qadam bolte nahin
hai sharh-e-karb-e-zist ka ashkon pe inhisar
lekin ye tarjuman-e-alam bolte nahin
'inam' zulm-o-jaur musalsal ke bawajud
hum hain fida-e-lazzat-e-gham bolte nahin