aatish-e-ishq-e-bala aag lagae na bane aur hum us ko bujhaen to bujhae na bane rang-e-rukh udne pe aaj jae to roke na ruke lakh wo raaz chhupaen to chhupae na bane kya maza ho na rahe yaad jo andaz-e-jafa main kahun bhi ki satao to satae na bane khud wafa hai meri shahid ki wafadar hun main lakh tum dil se bhulao to bhulae na bane dil ke har zarra mein hai soz-e-mohabbat ki numud khak mein in ko milaun to milae na bane rah-e-ulfat ne kuchh aisi meri surat badli daman-e-dasht chhupae to chhupae na bane dil ko ab tab-e-talafi o mudawa abhi nahin chaaragar aae to ehsan uthae na bane koi khaka meri taswir ka khinche to sahi khinch bhi jae koi naqsha to mitae na bane maut qabu ki nahin aur na thikana is ka koi waqt us pe bhi aae ki banae na bane aise dhab se ho gila un ki sitam ka ai 'shauq' baat kuchh chahen banani to banae na bane