aaya zara si der raha ghul gaya badan

aaya zara si der raha ghul gaya badan
apni udai khak mein hi rul gaya badan

khwahish thi aabshaar-e-mohabbat mein ghusl ki
halki si ek phuwar mein hi ghul gaya badan

zer-e-kaman dil tha to thodi si thi umid
ab to hamare hath se bilkul gaya badan

ab dekhta hun main to wo asbab hi nahin
lagta hai raste mein kahin khul gaya badan

main ne bhi ek din use taraj kar diya
mujh ko halak karne pe jab tul gaya badan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close