aazar mere dil ka dil-azar na ho jae

aazar mere dil ka dil-azar na ho jae
jo karb nihan hai wo numudar na ho jae

aawaz bhi deti hai ki uth jag mere lal
darti bhi hai bachcha kahin bedar na ho jae

jab tak main pahunchta hun kadi dhup mein chal kar
diwar ka saya pas-e-diwar na ho jae

parda na sarak jae kahin ai dil-e-betab
wo parda-nashin aur pur-asrar na ho jae

badhta chala jata hai zamane se talluq
ye silsila zanjir-e-giran-bar na ho jae

aaram se rahta hi nahin banda-e-be-dam
jab tak kisi mushkil mein giraftar na ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close