ab qabile ki riwayat hai bikharne wali har nazar khud mein koi shahr hai bharne wali khush-gumani ye hui sukh gaya jab dariya ret se ab meri kashti hai ubharne wali khushbuon ke nae jhonke hain har ek dhadkan mein kaun si rut hai mere dil mein thaharne wali kuchh parinde hain magan mausami parwazon mein ek aandhi hai par-o-baal katarne wali hum bhi ab sikh gae sabz pasine ki zaban sang-zaron ki jabinen hain sanwarne wali tez dhun par the sabhi raqs mein kyun kar sunte chand lamhon mein balaen thin utarne wali bas usi waqt kai jwala-mukhi phut pade motiyon se meri har naw thi bharne wali dhak liya chand ke chehre ko siyah baadal ne chandni thi mere aangan mein utarne wali dafatan tut pade chand bagule 'amabar' khushbuen thin meri basti se guzarne wali