ab tere hijr mein yun umr basar hoti hai

ab tere hijr mein yun umr basar hoti hai
sham hoti hai to ro ro ke sahar hoti hai

kyun sar-e-sham umidon ke diye bujhne lage
kitni viran teri rahguzar hoti hai

be-khayali mein bhi phir un ka khayal aata hai
wahi taswir mere pesh-e-nazar hoti hai

ye awadh hai ki jahan sham kabhi khatm nahin
wo banaras hai jahan roz sahar hoti hai

apne barbaad nasheman ko bhula deta hun
jab sulagte hue gulshan pe nazar hoti hai

barq girti hai to khirman ko jala jati hai
kab use mehnat-e-dahqan ki khabar hoti hai

hae phulon ke muqaddar pe bhi dil rota hai
zindagi un ki bhi kanton mein basar hoti hai

aariz-e-ghuncha-o-gul aur dahak uthte hain
ashk-e-shabnam mein bhi tasir-e-sharar hoti hai

main wo mahrum-e-mohabbat hun ki 'anwar' meri
jo dua hai wahi mahrum-e-asar hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close