ab unhen mujh se kuchh hijab nahin ab in aankhon mein koi khwab nahin meri manzil hai raushni lekin meri qudrat mein aaftab nahin tujh ko tartib de raha hun main meri ghazlon ka intikhab nahin ab suna hai ki mere dil ki tarah ek sahra hai mahtab nahin sham itni kabhi udas na thi kyun teri zulf mein gulab nahin yun na padhiye kahin kahin se hamein hum bhi insan hain kitab nahin kahkashan so rahi hai ai 'shabnam' husn aangan mein mahw-e-khwab nahin