ab wo moD aaya ki har pal moatabar hone ko hai

ab wo mod aaya ki har pal mo'atabar hone ko hai
dekhna manzar naya diwar dar hone ko hai

ab lahu ka rang gahra hai meri taswir mein
aisa lagta hai ki qissa mukhtasar hone ko hai

ud chali hai har taraf daman mein bhar lene ki baat
qatra qatra us ke dariya ka guhar hone ko hai

main bhi dekhun mujh ko manzar se hata dene ke baad
ab tamasha kaun sa bar-e-digar hone ko hai

phir tarashi jaane wali hain charaghon ki lawen
sham hote hote garm aisi khabar hone ko hai

mud ke dekhun to aqab mein kuchh nazar aata nahin
samne bhi gum nishan-e-rah-guzar hone ko hai

ab nai rahen khulengi mujh par imkanat ki
'ramz' mere tan pe zahir mera sar hone ko hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close