ab wo sauda nahin diwanon mein

ab wo sauda nahin diwanon mein
khak udti hai bayabanon mein
gham-e-dauran ko gila hai mujh se
tu hi tu hai mere afsanon mein
dil-e-nadan teri haalat kya hai
tu na apnon mein na beganon mein
bujh gai shama sahar se pahle
aag jalti rahi parwanon mein
dil ne chhoda na umidon ka khayal
phul khilte rahe viranon mein
'saif' pahlu mein ye aahat gham ki
kaun rota hai bayabanon mein
This is a great nadan mohabbat shayari. True lovers of saif palanpuri shayari will love this. Please share if you liked this!!!