abhi hamari mohabbat kisi ko kya malum kisi ke dil ki haqiqat kisi ko kya malum yaqin to ye hai wo khat ka jawab likkhenge magar nawishta-e-qismat kisi ko kya malum ba-zahir un ko haya-dar log samjhe hain haya mein jo hai shararat kisi ko kya malum qadam qadam pe tumhaare hamare dil ki tarah basi hui hai qayamat kisi ko kya malum ye ranj o aish hue hijr o wasl mein hum ko kahan hai dozakh o jannat kisi ko kya malum jo sakht baat sune dil to tut jata hai is aaine ki nazakat kisi ko kya malum kiya karen wo sunane ko pyar ki baaten unhen hai mujh se adawat kisi ko kya malum khuda kare na phanse dam-e-ishq mein koi uthai hai jo musibat kisi ko kya malum abhi to fitne hi barpa kiye hain aalam mein uthaenge wo qayamat kisi ko kya malum janab-e-'dagh' ke mashrab ko hum se to puchho chhupe hue hain ye hazrat kisi ko kya malum
Please share if you liked this!!!