ada hai khwab hai taskin hai tamasha hai hamari aankh mein ek shakhs be-tahasha hai zara si chae giri aur dagh dagh waraq ye zindagi hai ki akhbar ka tarasha hai tumhaara bolta chehra palak se chhu chhu kar ye raat aaina ki hai ye din tarasha hai tere wajud se bara-dari damak utthi ki phul pallu sarakne se irtiasha hai main be-zaban nahin jo bolta hun likh likh kar meri zaban tale zahr ka batasha hai tumhaari yaad ke charkon se lakht lakht hai ji ki khanjaron se kisi ne badan ko qasha hai jahan bhar se jahan-gard dekhne aaen ki putliyon ka mere mulk mein tamasha hai