ahl-e-duniya ke liye ye majra hai muKHtalif

ahl-e-duniya ke liye ye majra hai mukhtalif
pattharon ke shahr mein ek aaina hai mukhtalif

mere bachche kitne hairan hain ki in ke waste
pesh-rau ke naqsh-e-pa ka silsila hai mukhtalif

dolti hai sans ke tufan mein kashti zist ki
baadbani ke liye ab ke hawa hai mukhtalif

saaton ki dhup ne jab bhi tasalli di ghani
qadd-o-qamat apne sae ka mila hai mukhtalif

chun len aankhon se hamari nind ki sab kirchiyan
waqt ke gunge qabile ki saza hai mukhtalif

dekhiye to sabz kheton mein shuaon ka hai raqs
sochiye to mausam-e-rang-e-ada hai mukhtalif

chashm-e-hairat se na yun dekha karen 'shahin-badr'
mausam-e-ikhlas ki thandi hawa hai mukhtalif


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close