ahwal pochhiye mera aazar jaaniye

ahwal pochhiye mera aazar jaaniye
zanjir dekh kar na giraftar jaaniye

afsos ja chuka hai ghadi dekhne ka waqt
ab dhup se hi waqt ki raftar jaaniye

hansiye janab der tak ab apne aap par
kis ne kaha tha khud ko samajhdar jaaniye

kuchh der baith jaiye diwar ke qarib
kya kah raha hai saya-e-diwar jaaniye

aasan nahin hai jaanna is shahr ka mizaj
sau bar dekhiye use sau bar jaaniye

kya rabt-e-khas aap ko kar-e-jahan se hai
achchha to aap bhi mujhe bekar jaaniye

'kashif'-husain khub hi hote hain ahl-e-ishq
is par bhi khade hon to us par jaaniye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close