ai mere dil tu bata tujh ko gawara kya hai jo tera dard hai so hai bata chaara kya hai apni babat kabhi puchha to bataenge use dubne walon ko tinke ka sahaara kya hai aur bhatkenge to kuchh aur naya dekhenge hum to aawara parinde hain hamara kya hai roz ek shakhs ki yaadon ka janaza dhoya umr ke nam pe hum ne bhi guzara kya hai ek din hanste hue kahne lagi wo mujh se sare ashaar to mere hain tumhaara kya hai