ai naseh chashm-e-tar se mat kar aansu pak rahne de

ai naseh chashm-e-tar se mat kar aansu pak rahne de
are bedard rone mein mujhe bebak rahne de

baras mat abr mit jaga baghola khak-e-majnun ka
khuda ke waste dasht-e-junun ki nak rahne de

dil-e-zakhmi hai shaeq bu-e-gul aur shor-e-bulbul ka
rafu-gar fasl-e-gul mein ye gareban chaak rahne de

ye taqat nazr hai ai na-tawani par bahaaron mein
mere hathon ko chaak-e-jeb par chaalak rahne de

nasihat mujh ko tark-e-ishq ki kuchh farz nahin tujh par
na chhod ai shaikh sunnat munh mein nit miswak rahne de

uda mat ai nasim-e-bagh-e-jannat kya karun tujh ko
mere sar par zara pi ki gali ki khak rahne de

agar jun shama-did-e-shoala-ruyan chahiye 'uzlat'
nazara ta na jal ja chashm ko namnak rahne de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close