ai shab hijr kahin teri sahar hai ki nahin

ai shab hijr kahin teri sahar hai ki nahin
nala-e-nim-shabi tujh mein asar hai ki nahin

jaan par apni main khela hun judai mein teri
be-khabar tujh ko bhi kuchh us ki khabar hai ki nahin

ek muddat hui hum wasf-e-kamar karte hain
par ye malum nahin us ke kamar hai ki nahin

rakh na sozan ko zara dekh to le ai jarrah
qabil-e-bakhiya mera zakhm-e-jigar hai ki nahin

kya khush aai hai dila manzil-e-hasti tujh ko
sach bata yan se tera azm-e-safar hai ki nahin

to jo be-parda ho munh ghair ko dikhlata hai
pas mera bhi kuchh ai rashk-e-qamar hai ki nahin

dekh tu ai but-e-be-mehr teri furqat mein
har-bun-e-mue mera dida-e-tar hai ki nahin

us ke dar par hi jo rahta hun main din raat pada
mujh se jhunjhla ke kahe hai tere ghar hai ki nahin

'mushafi' us ki gali mein jo tu jata hai sada
apni badnami ka kuchh tujh ko bhi dar hai ki nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close