ai subh-e-umid der kya hai ab kitne diyon ka fasla hai ab kitni hai der raushni mein ab kitni shabon ka marhala hai hum hijr ki raat ke musafir is dasht se hum ko kya mila hai wo khwab to jal-bujhe hain sare wo khema to rakh ho chala hai ab kaise charagh kya charaghan jab sara wajud jal raha hai bahar bhi wahi faza hai sari indar bhi mere wahi khala hai ek dil hai aur itni qatl-gahen jo rah chalo wo karbala hai wo daur hai ye ki sunne wala har lafz ko chhu ke dekhta hai itne jo azab utar rahe hain is shahr ko kis ki bad-dua hai