aib jo mujh mein hain mere hain hunar tera hai

aib jo mujh mein hain mere hain hunar tera hai
main musafir hun magar zad-e-safar tera hai

tesha de de mere hathon mein to sabit kar dun
sina-e-sang mein khwabida-sharar tera hai

tu ye kahta hai samundar hai qalam-rau mein meri
main ye kahta hun ki maujon mein asar tera hai

tu ne raushan kiye har taq pe furqat ke charagh
jis mein tanhaiyan rahti hain wo ghar tera hai

sang-reze to baraste hain mere aangan mein
jis ka har phal hai rasila wo shajar tera hai

main to hun sang-e-hidayat ki tarah istada
han magar zabta-e-rahguzar tera hai

lakh be-maya hun itna bhi tahi-dast nahin
meri aankhon ke sadaf mein ye guhar tera hai

mujh ko tanhai se raghbat tujhe hangamon se pyar
zulmat-e-shab hai meri nur-e-sahar tera hai

dubte hain jo safine ye khata kis ki hai
tah-nashin mauj meri hai to bhanwar tera hai

'ramz' har tohmat-e-na-karda se mansub sahi
ye magar soch le us mein bhi zarar tera hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close