ajab nahin kabhi naghma bane fughan meri

ajab nahin kabhi naghma bane fughan meri
meri bahaar mein shamil hai ab khizan meri

main apne-ap ko auron mein rakh ke dekhta hun
kahin fareb na hon dard-mandiyan meri

main apni quwwat-e-izhaar ki talash mein hun
wo shauq hai ki sambhalti nahin zaban meri

yahi sabab hai ki ahwal-e-dil nahin kahta
kahun to aur ulajhti hain gutthiyan meri

main apne ijz pe nadim nahin hun ham-sukhano
hazar-shukr tabiat nahin rawan meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close