ajab pur-lutf manzar dekhta rahta hun barish mein

ajab pur-lutf manzar dekhta rahta hun barish mein
badan jalta hai aur main bhigta rahta hun barish mein

sadaen dub jati hain hawa ke shor mein aur main
gali-kuchon mein tanha chikhta rahta hun barish mein

dariche mein dar aate hain bahut se mehrban chehre
main un par shokh jumle phenkta rahta hun barish mein

diye jalte hain, bujhte hain, mere atraf mein aur main
bas ek sae ke pichhe bhagta rahta hun barish mein

pas-e-qaus-e-quzah ek surat-e-mahtab ki jhilmil
main is jhilmil ko pahron dekhta rahta hun barish mein

na sona mere bas mein hai, na shab bhar jagna 'khalid'
main aankhen kholta aur michta rahta hun barish mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close