ajib Dhang se maine yahan guzara kiya

ajib dhang se main ne yahan guzara kiya
ki dil ko barf kiya zehn ko sharara kiya

mizaj-e-dard ko sab lafz bhi qubul na the
kisi kisi ko tere gham ka istiara kiya

phir us ke ashk bhi us ko ada na kar pae
wo dukh jo us ke tabassum ne aashkara kiya

ki jaise aankh ke lagte hi khul gain aankhen
nigah-e-jaan ne bahut dur tak nazara kiya

hamein bhi dekh ki tajsim-e-nau se guzre hain
badan ko shisha kiya dil ko sang-para kiya

ajab mizaj tha tanhai-ashna ki 'saud'
khud apna sath bhi mushkil se hi gawara kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close